Increase your knowledge with our great selection of Islamic Books, Audio and Videos
All what a Muslim might need to practice Islam
Explore Our Selection of Exquisite Eid Presents Curated Just for You.
BK16700000000
Islami Nizam-e-Zindaigi Aur Us K Buniyadi Taswwurat,
Asar-e-Hazir k azeem Muslim Scholar Syed Abul Aala Modudi [Rehmat- Ul- Allah Eleh] ki wo shehara-e-aalam kitaab hai jis main Islami nizam-e-Zindagi k jumla pehlu'on ko baray hi mo'assir tareeqay say saada, dilnasheen aur mudallil andaz-e-bayaan k sath pesh kiya gaya hai.
Musannif ne Wujood-e-Bari Ta'ala, toheed o risalat aur zindagi baad mout ki laafani haqeeqaton par mazboot aqli dala'il k saath behas kartay huay Islam ki haqqaniyat ko saabit kiya hai. Islam k falsafa-e-Ikhlaaq o Tareekh aur Nazriya-e-jihaad par qalam utha kar Musalmaanon k roshan maazi aur tabnaak mustaqbil k naveed sunayi hai.
Islam jis nizam-e-zindagi ka tasawwur pesh karta hai is ka aik jamay naqsha bhi pesh kar diya ha. Ta k nazrain apnay ehdaaf par jami rahain. Qadam manzil-e-muraad ki janib barhtay rahain aur Islami inqalaab ki roshn sehar se aalam-e-insaniyat jagmaga utthay
Author: Syed Abul Aala Modudi
Binding: Hardback
Collections: Full Price Products (non sale), Knowledge, New Arrivals, NOT ON SALE, Other Languages, Trending
Sign up Below